Meraj-e-bashar, noor-e-Khuda hain mere Aaqaؐ Aainah-e-lawlaak lama hain mere Aaqaؐ
Shaan aapؐ ki kaise kisi idraak mein aaye Bala-e-hadd-e-fikr-e-rasa hain mere Aaqaؐ
Zaat-e-ummؐ ki reh-e-zeest mein tanveer-e-hidayat Kirdar mein Quran ki ziya hain mere Aaqaؐ
Duniya ki kashakash ho ke ho deen ki tag-o-dau Ek ek qadam rah-numa hain mere Aaqaؐ
Insaan pe ayan karte hain tawheed ke asrar Ummi hain magar fahm-o-zaka hain mere Aaqaؐ
Maqsood-e-hayat aapؐ ka insaan ki behbood Duniya ke liye dars-e-wafa hain mere Aaqaؐ
Eesar, karam, khulq, raza, sabr, mohabbat Zahir hai in ausaaf se kya hain mere Aaqaؐ
Hai parto-e-Haq aapؐ ke andaaz-e-amal mein Akhlaq-e-hameeda ki ada hain mere Aaqaؐ
Khursheed-o-qamar aapؐ ki tanveer se roshan Rakhshandagi-e-arz-o-sama hain mere Aaqaؐ
Hasil hai siwa aapؐ ke kis ko yeh sa'adat Mehman sar-e-Arsh-e-Ula hain mere Aaqaؐ
Mangi thi Ibrahim ne jo sehan-e-haram mein Nikli hui dil se woh dua hain mere Aaqaؐ
Guftar-e-Nabiؐ dars hai irfan-e-Khuda ka Duniya mein sadaqat ki sada hain mere Aaqaؐ
Quran ka mafhoom ayan unؐ ke amal se Insaan ke liye uqda-kusha hain mere Aaqaؐ
Parhta hoon durood aapؐ pe ikhlas-o-wafa se Har dard mein taskeen-e-dawa hain mere Aaqaؐ
Hai mujh sa khata-kaar bhi bakhshish ka talab-gaar Mail-ba-karam aapؐ sada hain mere Aaqaؐ
Khush-bakht hoon main aapؐ ki ummat mein hoon Saqiؔ Khallaaq-e-do aalam ki ata hain mere Aaqaؐ