Mira Payambar ﷺ azeem-tar hai Kamaal-e-khallaq zaat uski Jamaal-e-hasti hayaat uski Bashar nahin azmat-e-nashr hai Mira Payambar ﷺ azeem-tar hai
Woh sharh-e-ahkaam-e-Haq Ta'ala Woh khud hi qanoon khud hawala Woh khud hi Quran khud hi qari Woh aap mehtaab, aap haala Woh aks bhi aur aaina bhi Woh nuqta bhi, khat bhi, daira bhi Woh khud nazara hai khoon-e-nazar hai Mira Payambar ﷺ azeem-tar hai
Sha'oor laya, kitaab laya Woh hashr tak ka nisaab laya Diya bhi kaamil nizam usne Aur aap hi inqilab laya
Woh ilm ki aur amal ki had bhi Azal bhi us ka hai aur abad bhi Woh har zamane ka rahbar hai Mira Payambar ﷺ azeem-tar hai
Woh Adam ؑ o Nooh ؑ se zyada Buland himmat buland irada Woh zuhd-e-Isa ؑ se koson aage Jo sab ki manzil woh us ka jaadoo Har ek payambar nihan hai us mein Hujoom-e-payambaran hai us mein Woh jis taraf hai Khuda udhar hai Mira Payambar ﷺ azeem-tar hai
Bas ek mashkeza ek chatai Zara se joo, ek chaarpaai Badan pe kapre bhi wajibee se Na khush libasi na khush qabaai Yehi hai kul-e-kainaat jis ki Gayi na jaayein sifaat jis ki Wohi toh Sultan-e-bahr-o-bar hai Mira Payambar ﷺ azeem-tar hai