Main sarapa hoon gham, Tajdar-e-Haram Kijiye rahm-o-karam, Tajdar-e-Haram
Ujra ujra samaan, chaa gayi hai khizaan Barse abr-e-karam, Tajdar-e-Haram
Ae Shah-e-Bahr-o-Bar, aah! kamzor par Toota koh-e-alam, Tajdar-e-Haram
Sadqa Hasanain ka, mujh se be-chain ka Door ho ranj-o-gham, Tajdar-e-Haram
Bigri qismat sanwar, jaaye gi ho nazar Sue loh-o-qalam, Tajdar-e-Haram
Ab bula lo wahin, door reh kar kahin Toot jaaye na dam, Tajdar-e-Haram
Shah-e-Jinn-o-Bashar, khair se mere ghar Tere aayen qadam, Tajdar-e-Haram
Door hon aafatein, dijiye raahatein Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Az-paye chaar yaar, ab to beda ho paar Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Ae mere charah-gar, apne bimar par Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Do niqab ab ulat, aayen jalwe simat Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Mujh ko de do Baqi, ab to de do Baqi Ho nigah-e-karam, Tajdar-e-Haram
Aap hazir bhi hain, aap nazir bhi hain Haan Khuda ki qasam, Tajdar-e-Haram
Sarwar-e-Do-Jahan, aap hain ghaib daan Kibriya ki qasam, Tajdar-e-Haram
Apne Attarؔ ko, maal-o-daulat na do De do bas apna gham, Tajdar-e-Haram