Main ke har sahib-e-imaan ke qadmon ki khaak Aapؐ tak aaya hoon pehchan ke qadmon ki khaak
Umar ki, Haider-e-Karrar ki khaak-e-kaf-e-pa Main Abu Bakr ke, Usman ke qadmon ki khaak
Chand, suraj mere Sultanؐ ke paposh ki gard Yeh sitare mere Sultanؐ ke qadmon ki khaak
Mera daaman-e-aqeedat bhi Madinah hai jahan Ja baja hai mere Mehmanؐ ke qadmon ki khaak
Aapؐ ki naat ka haq mujh se ada ho kaise Main ke Busiri o Hassan ke qadmon ki khaak
Zarre zarre mein kayi raaz chhupaye huye hai Aapؐ ki Naat-e-Zi-shaan ke qadmon ki khaak
Yun kiya sahib-e-meraj ki azmat ko salam Kehkashan ban gayi insaan ke qadmon ki khaak
Zarre zarre pe raqam hai usi manzil ka pata Roo numa sahib-e-irfan ke qadmon ki khaak