Meetha Madinah door hai jaana zaroor hai Jaana hamein zaroor hai jaana zaroor hai
Rah-e-Madinah ka toh har kaanta bhi phool hai Deewana ba-shaoor hai jaana zaroor hai
Hota hai sakht imtehan ulfat ki raah mein Aata hai magar suroor hai jaana zaroor hai
Ishq-e-Rasool ﷺ dekhiye Habshi Bilal ka Zakhmon se choor choor hai jaana zaroor hai
Pur-khar raah paaon mein chhale bhi pad gaye Is mein bhi toh suroor hai jaana zaroor hai
Himmat jawab de gayi Sarkar ﷺ al-madad Zair thakan se choor hai jaana zaroor hai
Hai dhoop bhi kadi aur lagi pyaas bhi badi Paani ka chashma door hai jaana zaroor hai
Deewano! sharmao na tum deewangi mein ke Yeh nafs ka gharoor hai jaana zaroor hai
Kyun thak gaye palat gaye himmat gaye kyun haar! Bandon hi ka qasoor hai jaana zaroor hai
Tujh ko darati hain safar ki jo sa'abatein Yeh nafs ka fatqur hai jaana zaroor hai
Ushaaq ko toh milti hai gham mein bhi raahat aur Aata bada suroor hai jaana zaroor hai
Sarkar ﷺ ka Madinah yaqeenan bila-shuba Qalb-o-nazar ka noor hai jaana zaroor hai
Manzar haseen-o-dilruba Un ﷺ ke dayaar ka Haan dekhna zaroor hai jaana zaroor hai
Dekhunga jaa ke Gumbad-e-Khazra ki main bahaar Rauza watan se door hai jaana zaroor hai