Mawara-e-fikr-e-insaan hai sana-e-Mustafa ﷺ Pa nahi sakte farishtay bhi hawa-e-Mustafa ﷺ
Dil ki aankhon se koi dekhay hadith-e-zindagi Us ke daaman mein nahi kuch bhi sawa-e-Mustafa ﷺ
Kyun na main zaat-e-Payambar ﷺ ki sana-khwani karoon Hai sana-khwani mein shamil khud Khuda-e-Mustafa ﷺ
Naimat-e-qalb-o-jigar hai ulfat-e-Aal-e-Rasool ﷺ Aur hai aankhon ka surma khaak-e-pa-e-Mustafa ﷺ
Duniya bhar ke jaam-o-meena se tawajjo hat gayi Jab se main ne pee liya jaam-e-wila-e-Mustafa ﷺ
Sab ke sab masoom thay jitnay thay mehram Aap ﷺ ke Aur sab ke samnay thi bas Raza-e-Mustafa ﷺ
Dono aalam jhoom uthay hain meray ashaar par Yeh gada-e-Mustafa ﷺ par hai ata-e-Mustafa ﷺ