Marhaba sad marhaba! Phir aamad-e-Ramzan hai Khil uthay murjhaye dil taza hua imaan hai
Ya-Khuda hum aasiyon par yeh bada ehsaan hai Zindagi mein phir ata hum ko kiya Ramzan hai
Tujh pe sadqay jaaun Ramzan! Tu azimus-shaan hai Tujh mein nazil Haq Ta'ala ne kiya Quran hai
Abr-e-rehmat chha gaya hai aur samaan hai noor noor Fazl-e-Rabb se maghfirat ka ho gaya saamaan hai
Har ghari rehmat bhari hai har taraf hain barkatein Maah-e-Ramzan rehmaton aur barkaton ki kaan hai
Aagaya Ramzan ibadat par kamar ab baandh lo Faiz le lo jald yeh din tees ka mehmaan hai
Aasiyon ki maghfirat ka lekar aaya hai payam Jhoom jaao mujrimo! Ramzan meh-e-ghufran hai
Bhaiyo behno! Karo sab nekiyon par nekiyan Pad gaye dozakh pe taalay qaid mein Shaitan hai
Bhaiyo behno! Gunahon se sabhi tauba karo Khuld ke dar khul gaye hain dakhla aasaan hai
Kam hua zor-e-gunah aur masjidain aabad hain Maah-e-Ramzanul Mubarak ka yeh sab faizan hai
Rozay daro! Jhoom jaao kyunke deedar-e-Khuda Khuld mein hoga tumhein yeh wa'da-e-Rehman hai
Do jahan ki ne'matein milti hain roza-daar ko Jo nahi rakhta hai roza woh bada naadaan hai
Ya-Ilahi! Tu Madine mein kabhi Ramzan dikha Muddaton se dil mein yeh Attar ke armaan hai