Marhaba sad marhaba salli ala khush amdeed Aamad-e-Noor-e-Khuda salli ala khush amdeed
Ya Habib-e-Kibriya salli ala khush amdeed Tajdar-e-Anbiya salli ala khush amdeed
Ae mere mushkil-kusha salli ala khush amdeed Jaan-o-dil tum par fida salli ala khush amdeed
Sarwar-e-arz-o-sama salli ala khush amdeed Ae Shah-e-har do sara salli ala khush amdeed
Shams mein teri ziya salli ala khush amdeed Mah mein tera chandna salli ala khush amdeed
Kyun yeh ghar-ghar roshni hai aaj kis ka jashn hai? Aminah ke laal ka salli ala khush amdeed
Aaj kyun charon taraf yeh marhaba ki dhoom hai? Kyun hai har su ghul-ghula salli ala khush amdeed?
Baat yeh hai aaj duniya mein huye hain jalwa-gar Meethe meethe Mustafa salli ala khush amdeed
Marhaba jashn-e-wiladat marhaba sad marhaba Noor-e-ain-e-Aminah salli ala khush amdeed
Jashn-e-Milad-un-Nabi ki dhoom hai charon taraf Har koi hai keh raha salli ala khush amdeed
Rahmatul-lil-alameen ki ho gayi jalwa-gari Baab-e-rahmat wa huwa salli ala khush amdeed
Chashm-e-ma roshan dil-e-ma shad ae jaan-e-chaman Marhaba Ya Mustafa salli ala khush amdeed
Chhat gaye zulmat ke badal door andhera ho gaya Noor wala aa gaya salli ala khush amdeed
Khana-e-Kaaba mein jo but thay sab awndhay gir pare Dabdaba aamad ka tha salli ala khush amdeed
Anbiya-o-mursaleen sab ki imamat ka tere Sar pe hai sehra saja salli ala khush amdeed
Aminah ke ghar mein jab aamad Muhammad ki hui Char su yeh shor utha salli ala khush amdeed
Khoob sadqa bat raha hai Aminah ke ghar pe aaj Aaye Shah-e-asqiya salli ala khush amdeed
Hum ghareebon ke toh bas waray hi niyaray ho gaye Dar tumhara mil gaya salli ala khush amdeed
Bhar do seenay mein suroor aur aankh kar do noor noor Dil mera do jagmaga salli ala khush amdeed
Qabr mein jalwa-e-Nabi ka dekh kar Attar kaash! Bol uthay be-sakhta salli ala khush amdeed