Marhaba! Muqaddar phir aaj muskuraya hai Phir mujhe Madine mein Shah ne bulaya hai
Khoob Masjid-e-Nabwi ka haseen hai manzar Sabz sabz gumbad par kaisa noor chhaya hai
Meri gandi aankhon ko in najis nigahon ko Shukriya Madine ka baagh phir dikhaya hai
Mujh sa paapi aur badkar aur aap ka darbar! Biliqeen mujh par bhi rahmaton ka saya hai
Ya Nabi! Shifa dedoo az-paye Raza dedoo Khoob zor, isyaan ke rog ne dikhaya hai
Jis ko sab ne thukraya aur dil ko tadpaya Sadqay jaaun us ko bhi aap ne nibhaya hai
Nafraton ke daldal mein dushmano ke chungal mein Jab kabhi phansa hoon main aap ne bachaya hai
Aadatein gunahon ki haye! kam nahi hotein Aah! nafs o shetan ne zor se dabaya hai
Waari jaaun main tum par aa bhi jaau ab Sarwar! Koi dam ka hoon mehman dam labon par aaya hai
Haq ne kardiya maalik tum ko sab khazanon ka Tum ne hi khilaya hai tum ne hi pilaya hai
Kyun fida na ho Attar aap par Shah-e-Abrar Is ko apne daaman mein aap ne chupaya hai
Aap ke karam se yeh dhoom hai qayamat mein Dekho dekho Attar ab kitna khush khush aaya hai