Marhaba kya roza-e-Sarkar hai Sara alam talib-e-deedar hai
Ishq se Aqa ke jo sarshar hai Taiba jaane ke liye taiyaar hai
Pyari pyari hai Madinah ki fiza Lamha lamha barish-e-anwaar hai
Chehra-e-anwar dikhana khwab mein Iltija sab ki yahi Sarkar hai
Hai minar-e-Masjid-e-Nabvi haseen Gumbad-e-Khizra magar shahkaar hai
Al-madad pyare Nabi pyare Nabi Jo pukare us ka beera paar hai
Ek pal mein Arsh-e-Aazam par gaye Kya mere Sarkar ki raftar hai
Ab manao Eid-e-Milad-un-Nabi Haan aqeedat ka yahi izhaar hai
Maut aaye kash Taiba mein Kamalؔ Maut se bhala kis ko inkaar hai