Mareez-e-hijr ka mushkil hai jeena Ya Rasool Allah ؐ Dikha deejiye dikha deejiye Madinah Ya Rasool Allah ؐ
Ghareeq-e-bahr-e-isyaan hain giraftar-e-museebat mein Kinaray se laga deejiye safeena Ya Rasool Allah ؐ
Nichawar Gumbad-e-Khizra pe ja kar jaan-o-dil kar doon Koi aisa bhi aa jaaye maheena Ya Rasool Allah ؐ
Chupa lo ab chupa lo apne daaman-e-shafa'at mein Khataon par hai nadim yeh kameena Ya Rasool Allah ؐ
Kushada ho gayi aaghosh-e-rehmat ae zahey qismat Jo aaya sharm-e-isyaan se paseena Ya Rasool Allah ؐ
Gham-e-dunya ki zulmat mujh se katra kar guzar jaaye Munawwar is qadar ho jaaye seena Ya Rasool Allah ؐ
Khazana rehmaton ka raat din bat-ta hai mangton mein Tumhara dar hai rehmat ka khazeena Ya Rasool Allah ؐ
Hazoor ؐ apne karam apni ataon par nazar keejiye Dua ka bhi nahi mujh ko qareena Ya Rasool Allah ؐ
Ata kar do woh meraj-e-tasawwur apne Khalid ko Jidhar dekhe nazar aaye Madinah Ya Rasool Allah ؐ