Mere Aaqa aao ke muddat hui hai, Teri raah mein ankhiyan bichhate bichhate Teri hasraton mein teri chahaton mein, Bade din huye ghar sajate sajate
Mere lab pe Maula na koi sada hai, Faqat mujh nikammay ki yahi iltija hai Meri saans niklay dar-e-Mustafa par, Gham-e-dil Nabi ko sunate sunate
Mera hai yeh imaan yeh mera yaqeen hai, Mere Mustafa sa na koi haseen hai Rukh un ka dekha hai jab se Qamar ne, Nikalta hai munh ko chhupatay chhupatay
Qayamat ka manzar bada pur-khatar hai, Magar Mustafa ka jo deewana ho ga Woh pul se guzar jaye ga wajd kartay, Naara Nabi ka lagatay lagatay
Yeh maana ke ik din aani qaza hai, Magar dosto tum se ik iltija hai Shahr-e-Muhammad ki har ik gali se, Janaza uthana ghumatay ghumatay