Mangtoon ko sultan banaya mere kamli walay ne Jab apna darbaar lagaya mere kamli walay ne
Jis par apna rang chadhaya mere kamli walay ne Data Farid aur Khwaja banaaya mere kamli walay ne
Maal o zar ki baat nahin hai yeh to karam ki baatein hain Jis ko chaaha dar pe bulaya mere kamli walay ne
Jis ko haqaarat se duniya ne dekha aur munh pher liya Us ko bhi seene se lagaaya mere kamli walay ne
Jitna kharch main karta jaoon utna barhta jaaye hai Bakhsh diya aisa sarmaya mere kamli walay ne
Dushman ki bhi pyaas bujhaayi apne bhi seerab hue Woh rahmat ka darya bahaaya mere kamli walay ne
Gham ki dhoop thi mere sar par aur pareshan haal tha main Mujh pe khaas karam farmaya mere kamli walay ne
Khud to khatam ar-Rusul aur Ghaus Piya Jilani ko Waliyon ka sardaar banaya mere kamli walay ne
Sahra sahra phool khilaaye naqsh-e-qadam ki barkat se Duniya ko gulzar banaya mere kamli walay ne
Un ka tasawur karte karte main bhi Madinah ja pahunchaa Mujh pe khaas karam farmaya mere kamli walay ne
Naat Aleem zaban par aayi meri qismat jaag uthi Mere naam ko bhi chamkaya mere kamli walay ne