Mangte hain karam un ka sada maang rahe hain Din raat Madinah ki dua maang rahe hain Har niamat-e-kounain hai daaman mein tumhaare Hum sadaqa-e Mahboob Khuda maang rahe hain Yoon kho gaye Sarkaar ke alataf wa karam mein Yeh bhi nahin hosh ke kya maang rahe hain Asrar karam ke faqat un par hi khulay hain Jo teray wasile se dua maang rahe hain Sarkaar ka sadaqa mere Sarkaar ka sadaqa Muhtaj wa ghani Shah wa gada maang rahe hain Yeh maan liya hai ki tera dard hai darmaan Talib hain shifa ke na dawa maang rahe hain Hum ko bhi mile daulat-e-deedar ka sadaqa Deedar ki jurat bhi Shaha maang rahe hain Sarkaar se Sarkaar ko maanga nahin jata Itni bari sarkaar se kya maang rahe hain