Meraj walay Aqa mere Rabb ke dularey, main toh waari waari jaaun
Tere hi noor se phaili hai roshni, chand taaron ne tujh se maangi hai chandni Husn-e-Yousuf ka tere saamne maand hai, Nabi hain taaray aur tu un ka chand hai
Dil mein basaun ae mere Rabb ke dularey, main toh waari waari jaaun
Aamina Bibi ke ghar ka ujaala, Dai Haleema ki godi ka paala Hooron ne Jannat se aa kar khilaya, Jibreel ne hai tum ko jhola jhulaya
Qurbaan jaaun ae mere Rabb ke dularey, main toh waari waari jaaun
Khaliq ko yaad jab Mehboob aaye, Jibreel-e-Ameen le ke Buraq aaye Khwab-e-raahat mein Umme Hani ko paaya, soya hua tha Bibi Aamina ka jaya
Kaise jagaun ae mere Rabb ke dularey, main toh waari waari jaaun
Talwon se rukhsaar mil kar jagaya, pehle salaam kiya phir yeh bataya Meraj ki sheh ko muzda sunaya, chaliye Huzoor tum ko Rabb ne bulaya
Dulha banaun ae mere Rabb ke dularey, main toh waari waari jaaun