Main sadaqe ya Rasool Allahﷺ main sadaqe ya Rasool Allahﷺ Kya shaan hai kya martaba main sadaqe ya Rasool Allahﷺ Bahr-e-zulmat mein doobon ko aap bachanay aaye Bhulay huay insaan ki niya par lagane aaye Hain aap sab ke naakhudā main sadaqe ya Rasool Allahﷺ Sadiq Akbar nay sun kar Shah-e-Umam ka farman Ghar mein ek zarrah na chhoda laaye sara samaan Boley meri jaan bhi hai fida main sadaqe ya Rasool Allahﷺ Dil mein tha kuch aur irada nikle Umar jab ghar se Aayat-e-Quran suni to aansoo aankh se barsay Bolay Umar be-sakhta main sadaqe ya Rasool Allahﷺ Dhul-Nurayn laqab tha jin ka woh Uthman Ghani thay Bol raha hai saara zamaana qismat ke woh dhani thay Jab tak jee-lab pe raha main sadaqe ya Rasool Allahﷺ Deen-e-haq ki dawat di jo mere pyare Nabi ne Jor diya Islam se rishta barh ke Maula Ali ne Kehte thay yeh mushkil-kusha main sadaqe ya Rasool Allahﷺ Hai imaan-e-Nabi ka naara jin ko jaan se pyara Gham ka hai uska muqaddar Arsh-e-Bareen ka tara Nara lagao yeh sadaa mein sadaqe ya Rasool Allahﷺ Pakpattan ke wali hoon ya hoon Lahore ke Data Aap ke dar ke tukdon se har aik wali ka nata Hai yeh sada-e Awliya mein sadaqe ya Rasool Allahﷺ Padhtay hain Mehran jo naaten bhag jaga lete hain Un ki mohabbat ke sikkon se Rab ki raza letay hain Khush bakht mein bhi hogaya main sadaqe ya Rasool Allahﷺ