Main koyal mera baagh-e-Madinah Salli 'ala meri "koo" Sarwar-e-Aalam ke sadqe mein urti phirun har su
Un pe nisaar hai apna tan mann se mila hai sab ko jeevan Suraj aur ye chaand taare her ek shay mein un ka joban Main koyal mera baagh-e-Madinah Salli 'ala meri "koo"
Un ke dwaar pe jaane walon ko jannat mil jaati hai Izzat-o-azmat, daulat-o-shohrat aur rahat mil jaati hai Jo manzoor hai mere Nabi ko woh Rab ko manzoor Main koyal mera baagh-e-Madinah Salli 'ala meri "koo"
Urti phirun main sanjh sawere geet Nabi ke gaaun Yaad jab aave Taiba nagariya pal pal neer bahaaun Aap ke naghmon se hota hai dil mera masroor Main koyal mera baagh-e-Madinah Salli 'ala meri "koo"
Kya Nabiyyeen kya Waliyeen tum sab ke ho lajpal Har kangal ko kar dete ho pal mein maala maal Tumri inayat tumri sakhawat hai jag mein mashhoor Main koyal mera baagh-e-Madinah Salli 'ala meri "koo"
Data Ali Hajweri ka sadqa Ghous Mohi-ud-Din ka sadqa Khawaja Moin-ud-Din ka sadqa Baba Fareed-ud-Din ka sadqa Mujh ko bana lo daasi apni main hoon bohat ranjoor Main koyal mera baagh-e-Madinah Salli 'ala meri "koo"
Main hoon bhikaran tum ho dayalu nazar-e-karam farmao Apni nagariya mein bulwa kar soye bhaag jagao Sadqa Ali Hasnain-o-Zehra ka, arzi ho manzoor Main koyal mera baagh-e-Madinah Salli 'ala meri "koo"
Ban ban hayrat hoon hai ae jag ke Maharaj Tumre naam ki maala japat hoon rakh lo mori laaj Kripa dhani ae Rab ke dulaare tumra hai noor-e-zahoor Main koyal mera baagh-e-Madinah Salli 'ala meri "koo"