Main gada-e-dayar-e-Nabi hoon poochiye mere daaman mein kya hai Mujh ko nisbat hai Aal-e-Nabi se haath mein daaman-e-Mustafa ﷺ hai
Meri palkon pe roshan sitare de rahe hain gawahi ye saare Jhaank kar mere dil mein toh dekho Mustafa Mustafa ki sada hai
Mere Maula tu khaliq hai mera sacha raaziq hai maalik hai mera Is liye main tujhe maanta hoon tu mere Mustafa ﷺ ka Khuda hai
Keh raha hoon unhi ka qasida hai azal se ye mera aqeeda Kamli wala Madine ka wali khud meri naat ko sun raha hai
Jab main bichhda dar-e-Mustafa ﷺ se ho bayaan kaise lafzon mein manzar Aa gaya hoon Madine se lekin dil wahin ka wahin reh gaya hai
Qudsiyon se falak ne jo poocha kyun zameen aaj dulhan bani hai Qudsiyon ne kaha ke zameen par aaj phir mehfil-e-Mustafa ﷺ hai
Jab bhi Nasir mujhe maut aaye meri turbat pe katba lagana Hai sana khwan-e-Khair-ul-Wara ka Panjtan ka ye adna gada hai