Main bhi rozay rakhun ga, Ya Allah taufiq dey Namazain parhne jaaun ga, Ya Allah taufiq dey
Main bhi Musalman hoon, chhota sa hoon lekin Hukam tera Ya Rabb mere liye bhi hai
Rozay agar momin rakhay sawab ki niyat se Taraveeh agar momin parhay sawab ki niyat se
Mitay gunah us ke pichlay saaray Yeh parwana Ya Rabb mere liye bhi hai
Main bhi rozay rakhun ga, Ya Allah taufiq dey Namazain parhne jaaun ga, Ya Allah taufiq dey
Dhikr-o-tilaawat se Khudaya qurb tera paaun Jood-o-sakhawat se Khudaya lutf tera paaun
Nekiyon ka mausam hai yeh kyun na hissa daalun Jannat ka sauda Ya Rabb mere liye bhi hai
Maghfirat maango roohani Rabb se tum din raat Karta jahannam se woh bari bandon ki la-tadaad
Mere bhi gunah bohat hain dey mujh ko nijaat Maafi ka elaan Ya Rabb mere liye bhi hai
Main bhi rozay rakhun ga, Ya Allah taufiq dey Namazain parhne jaaun ga, Ya Allah taufiq dey