Madinah se bulawa aa raha hai Mera dil mujh se pehle ja raha hai Nazar kiya sabz gunbad aa raha hai Ke dil ka rang badla ja raha hai Mera dil bhi to apne saath le ja Madinah kyon akela ja raha hai Isi ki chashm ka talib hai Kaaba Madinah dekh kar jo aa raha hai Woh dekho Hajiyo Bir-e Ali se Nazar-e Kaabe ka Kaaba aa raha hai Bari umeed le kar sarwar deen Madinah mein yeh mangta aa raha hai Bulayenge tujhe bhi sarwar-e Aalam Dil-e Mahmood kyun ghabra raha hai