Madine ki woh man bhaati fazayein yaad aati hain Woh sehra ke nazare woh hawayein yaad aati hain
Nahi bhoole abhi tak Bozar-o-Siddiq ke qisse Woh paikar-e-sidq ke un ki wafayein yaad aati hain
Kahin woh Badr ke lamhe kahin Khandaq ki woh baatein Nabi ke jaanisaron ki adayein yaad aati hain
Tamanna yeh ke kaanton ki jagah bhi phool khil jaayein Hira ke ghaar ki woh iltijayein yaad aati hain
Woh baarish pattharon ki Makkah-o-Taif ki galiyon mein Sitam logon ke Aaqa ki duayein yaad aati hain
Tahaif se aseeron ko bhi ik aizaaz bakhsha hai Woh sar par bint-e-Hatim ki radayein yaad aati hain
✨✨ Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sahbihi Wa Sallam ✨✨ Ma