Madine ki taraf phir kab rawana qafila hoga Mujhe izn-e-Madinah kab mere Aqa ata hoga
Yaqeenan roz-e-mahshar sirf usi se khush Khuda hoga Yahan duniya mein jis ne Mustafa ko khush kiya hoga
Wohi sar bar sar-e-mahshar bulandi payega jo sar Yahan duniya mein un ke aastane par jhuka hoga
Koi hafta na koi din koi ghanta to kya afsos Koi lamha bhi isyan se nahin khali gaya hoga
Nahin jaati gunahon ki Shaha! aadat nahin jaati Karam Maula! pas-e-murdan na jaane mera kya hoga
Faqat nekon pe hoga gar karam ae Sarwar-e-Alam! Kahan jayega woh banda jo bad hoga bura hoga
Tere raham-o-karam par aas main ne baandh rakhi hai Bari umeed hai Aqa! karam roz-e-jaza hoga
Nabi ke aashiqon ko maut to anmol tohfa hai Ke un ko qabr mein deedar-e-Shah-e-Anbiya hoga
Andheri gor hai tanha hoon mujh par khauf taari hai Tum aaoge to Aqa door andhera qabr ka hoga
Farishte qabr mein poochenge jab mujh se sawal aakar Mere lab par tarana InshaAllah naat ka hoga
Nabi ke aashiqon ki eid hogi eid mahshar mein Koi qadmon mein hoga koi seene se laga hoga
Tere daman-e-rahmat ki khulegi hashar mein wusat Woh aakar chhupega jo gunahgar aur bura hoga
Tasalli rakh tasalli rakh na ghabra hashar se Attar! Tera hami wahan par Amina ka laadla hoga
Na ghabra maut se Attar! barzakh mein tu mil lena Wahan Ghous-ul-Wara honge wahan Ahmad Raza hoga