Madine dil-o-rooh-o-jaan le ke jaaun Mohabbat ka saara jahan le ke jaaun
Jo sargarm rehti hai un ki sana mein Woh fikr-e-sukhan woh zabaan le ke jaaun
Bhala doon jo kaazib hai roodad meri Jo haq hai wohi daastaan le ke jaaun
"Muhammad ﷺ Muhammad ﷺ " ho, honton pe mere Main imaan ki gul-kaariyan le ke jaaun
Na chhoote kabhi yeh dayaar-e-Madinah Yeh hasrat sar-e-aastaan le ke jaaun
Jo tadpa raha hai meri zindagi ko Wahi dil ka dard-e-nihaan le ke jaaun
Nahi laaiq-e-nazr Behzad kuchh bhi Main kya pesh Shah-e-Shahaan le ke jaaun