Yahan Ka'be ka Ka'ba hai Madinah phir Madinah hai Jahan bhar se yeh achha hai Madinah phir Madinah hai
Muslim azmat-e-Bait-ul-Muqaddas rif'at-e-Ka'ba Magar afzal yeh rauzah hai Madinah phir Madinah hai
Kahan le jaate ho mujh ko Riaz-ul-Jannah par chhoro Yahi Firdaus-e-A'la hai Madinah phir Madinah hai
Sada deti hai aaghosh-e-Hateem aao idhar aao Musafir un ko kehta hai Madinah phir Madinah hai
Quba mein parh doonga tu ke farman-e-risalat hai Mukammal ek umrah hai Madinah phir Madinah hai
Suno khana badosho tum na ghabrao idhar aao Khula baab-e-Madinah hai Madinah phir Madinah hai
Yahan masail koi mayus jaaye ho nahi sakta Nabi ka aastana hai Madinah phir Madinah hai
Mere ehsas par saya fagan woh pyara rauzah hai Jo meri jaan ka hissa hai Madinah phir Madinah hai
Madinah hi Madinah kyon na ho lab pe Ujagar ke Yahan Aaqa ka rauzah hai Madinah phir Madinah hai