Maang lo jo kuch tumhein darkaar hai Mere Aaqa ka sakhi darbaar hai
Haazir-e-darbaar hoon mere tabeeb Dard-e-isyaan ki dawa darkaar hai
Kasrat-e-khanda se dil murda hua Tujh se faryaad ae Shah-e-Abrar hai
Qahqaha tum mat lagao bhaiyo! Gar lihaaz-e-girya-e-Sarkar hai
Zikr-e-Haq mein lab ko bas mashghool rakh Raahat-e-dil gar tujhe darkaar hai
Deejiye "Qufl-e-Madinah" yeh ghulam Aah! bad-atwaar o bad-guftaar hai
Umr ghat-ti ja rahi hai aah! nafs! Garm-e-isyaan ka magar bazaar hai
Des ka gor-e-ghareeban aah! aah! Maut Taibah ki mujhe darkaar hai
Laaj rakhna hashr mein badkaar ki Tera banda hai go bad-atwaar hai
Jaankani ka waqt hai Ya Mustafa Jaan-balab ab taalib-e-deedaar hai
Aap ke qadmon mein gir kar maut ki Aarzu Ya Sayyid-e-Abrar hai
Maghfirat farma tufail-e-murshidi Yeh dua tujh se mere Ghaffar hai
Bulbalo! tum ko mubaarak phool ho Bas gaya Taibah ka dil mein khaar hai
Kya karoon main dekh kar rang-e-chaman Dasht-e-Taibah se mujhe to pyaar hai
Sabz gumbad ki ziyaaein marhaba Marhaba pur-noor har meenaar hai
Jagmagaata hai Madinah raat din Sabz gumbad manba-e-anwaar hai
Jis ki turbat hai Baqi-e-paak mein Us ko haasil qurbat-e-Sarkar hai
Mustafa is roz aaye is liye Eid-e-Milad-un-Nabi se pyaar hai
Marhaba! Aaqa ki aamad marhaba! Hum ko is naare se be-had pyaar hai
Jo koi gustaakh hai Sarkar ka Woh hamesha ke liye fin-naar hai
Dushmanon ka tang ghera ho gaya Rahm ki darkhwast ab Sarkar hai
Aah! dushman khoon ka pyaasa hua Ya Nabi! teri madad darkaar hai
Haasidon ko de hidaayat Ya Khuda Us ka sadqa jo mira gham-khwaar hai
Ghaus ke daaman mein Attaar aa gaya Do jahaan mein is ka beera paar hai