Main kaise aalam-e-ashiya se mavara samjhoon Jo teri aankh ne dekha use Khuda samjhoon
Juda juda hai zamaane mein har bashar ka khameer Main har bashar ko bhala kaise ek sa samjhoon
Jo shakhs azmat-e-Adam se be-khabar hai abhi Main kaise us ko risalat ka aashna samjhoon
Raqam hai waqt ke seene pe harf harf tera Is inteha ko bhi main teri ibtida samjhoon
Kiran kiran teri tal'at chaman chaman khushboo Meri majaalon kahan teri har ada samjhoon
Na pa sakoon, na kabhi chhoo sakoon na dekh sakoon Main soch bhi nahin sakta tujhe Khuda samjhoon