Lutaye sajde na kyun aasmaan Madine mein Rasool-e-Pak ka hai aastaan Madine mein
Qadam barhaye chalo rehravan-e-manzil-e-shauq Hai abr-e-rehmat-e-haq gul fishaan Madine mein
Dar-e-Rasool ﷺ ke zarron ki gar talash nahin Toh kis ko dhundti hai kehkashan Madine mein
Behisht cheez hi kya hai keh ek sajde mein Hamein toh mil gaye donon jahan Madine mein
Qadam uthaye adab se zara Naseem-e-sahar! Hain mehv-e-khwab Shah-e-do jahan Madine mein
Madine jaate hain peeri mein saare log Akhtarؔ Maza hai kaat do umr-e-jawan Madine mein