We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Labon Par Darood o Salam Aa Rahe Hain

Labon par durud o salaam aa rahe hain keh mehfil mein khaira laanam aa rahe hain


Sajane durudon salaamon ki mehfil Mere Mustafa ke ghulam aa rahe hain


Muqaddar to dekho meri mey kashi ke Nigaahon mein masti ke jaam aa rahe hain



Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play


Bashar ek taraf mehfil-e-Mustafa mein Farishtay basad ikhtiraam aa rahe hain


Mujhe un ki qismat par rashk aa raha hai Jinhein haazri ke payam aa rahe hain


Nabi sahn-e Uqsa mein kehte the saare Yahan anbiya ke imam aa rahe hain


Durudon ke tohfe Khuda ki taraf se Mere kamal walay ke naam aa rahe hain


Hai ye bhi karam yaad-e Khairaloriya ka Mujhe yaad woh subah o sham aa rahe hain

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah