Lab pe naam aa gaya un ka sall-e-ala mera soz-e-nihan aansuon mein dhala Un ka faiz-e-nazar, shab ka pichla pehar, un ki yaadon ne dil mein kiya tajgaar
Main ke sehra mein bhatka hua aadmi, raasta pur-khatar, na-rasai ka dar Dil mein un ki lagan, manzilon ka safar, un ka har naqsh-e-pa rehnuma ban gaya
Meri pehchan arz-o-hunar se hui meri tauqeer bhi un ke dar se hui Jo inayat hui un ke ghar se hui, jo hidayat mili, woh hai un ki ata
Un ke jalwon ki tabish hai khurshid bhi apna kashkol bharta raha umr bhar Un ki raanaiyan hain chaman dar chaman, un ka husn-e-jahan-tab ek mojza
Buzri mein wohi faqr ka pairahan, larza-e-jaan mein rehna sada khaima-zan Shahryaron ko khatir mein lata nahin kis qadar mast hai un ke dar ka gada
Un ki har baat khair-e-amal sar-ba-sar, un ko mera pata, un ko meri khabar Un ka daman-e-rehmat mere hath mein, mujh gunahgar ka kaun un ke siva
Mere dil mein faqat un ki ulfat basi, ahl-e-bait-e-nabuwwat se nisbat rahi Mere lab par raha zikr-e-aal-e-Nabi ﷺ yun bhi hota hai ajr-e-risalat ada