Kya madah koi kar sakta hai insaan Madine wale ki Tareef-e-Khuda khud karta hai har aan Madine wale ki
Anwaar ki rukh pe taabani jalwon se muzayyan peshani Woh noor-e-mujassam-e-Rehmani kya shaan Madine wale ki
Din raat farishton ka jhurmat rehta hai mazaar-e-aqdas par Aate hain ziyaarat ki khaatir ghilmaan Madine wale ki
Woh Khaaliq-e-kul yeh Maalik-e-kul har cheez hai inke qabzay mein Hai shahi dono aalam mein Sultan Madine wale ki
Hai raunaq-e-aalam unke liye uqba bhi saji hai unke liye Hai cheez bani hai unke liye wah shaan Madine wale ki
Kya sifat suragh kare koi har sifat se baala-tar hain Nabi ﷺ Tauseef mein Haq ne bheja hai Quran Madine wale ki