Kuchh na poochho ke kya kya Madinay mein hai Noor-e-Wahdat ko jalwa Madinay mein hai
Bheek lene chale aayein Shah-o-gada Sāre mangtoon ki kadata Madinay mein hai
Aisa duniya mein dekha na hoga kahin Jaisa pyara nazaara Madinay mein hai
Jisko dekhain to aankhein chamakti rahen Dosto woh ujala Madinay mein hai
Ranj o gham ke sataaye hue jaan lein Ranj o gham ka mudawa Madinay mein hai
Jis ka duniya mein koi bhi apna nahi Us ka malja wa Maawa Madinay mein hai
Naimaten dono alam ki hum ko ata Dene wala humara Madinay mein hai