Koi saleeqa hai aarzoo ka Na bandagi meri bandagi hai Yeh sab tumhara karam hai Aaqa Ke baat ab tak bani hui hai
Kisi ka ehsaan kyun uthayein Kisi ko haal kyun batayein Tumhi se maangein tumhi toh doge Tumhare dar se hi lau lagi hai
Tajalliyon ke kafeel tum ho Muraad-e-qalb-e-Khaleel tum ho Khuda ki roshan daleel tum ho Yeh sab tumhari hi roshni hai
Tumhi ho rooh-e-rawan-e-hasti Sukoon nazar ka, dilon ki masti Hai do jahan ki bahaar tum se Tumhi se phoolon mein taazgi hai
Shaoor-o-fikr-o-nazar ke daaway Had-e-ta'ayyun se barh na paaye Na chhoo sake in bulandiyon ko Jahan maqam-e-Muhammadi hai
Nazar nazar rehmat-e-sarapa Ada ada ghairat-e-Maseeha Zameer-e-murda bhi jee uthay hain Jidhar tumhari nazar uthi hai
Amal mein mere asaas kya hai Bajuz nadamat ke paas kya hai Rahey salamat tumhari nisbat Mera toh ik aasra yahi hai
Ata kiya mujhko dard-e-ulfat Kahan thi yeh pur-khata ki qismat Main is karam ke kahan tha qabil Huzoor ki banda parwari hai
Inhi ke dar se Khuda mila hai Inhi se us ka pata chala hai Woh aaina jo Khuda numa hai Jamaal-e-husn-e-Huzoor hi hai