Koi gul baqi rahe ga, na chaman reh jaaye ga Par Rasool Allah ﷺ ka deen-e-Hasan reh jaaye ga
Hum safeero baagh mein hai koi dam ka cheh-cheha Bulbulain urr jaayengi sona chaman reh jaaye ga
Atlas-o-kam-khwab ki poshak par nazan ho tum Is tan-e-be-jaan par khaki kafan reh jaaye ga
Jo parhay ga Sahib-e-Lau-laak ke oopar durood Aag se mehfooz is ka tan-badan reh jaaye ga
Sab fana ho jaayenge Kaafi-o-lekin hashr tak Naat-e-Hazrat ﷺ ka zabaanon par sukhan reh jaaye ga