Kya Rabi' al-awwal aaya le kar tohfah-e-noor ka Jis ne dekha ho gaya woh dil se shida noor ka
Barahvin tareekh ko chamka jo tara noor ka Mit gayeen tareekiyaan phaila ajala noor ka
Gulshan-e-Islam mein kya phool phoola noor ka Jis ko dekho ab wahi parhta hai kalma noor ka
Mahfil-e Milad par hai shamiyana noor ka Kyon na aankhon mein samaa-e Astanah noor ka
Shams ubhray doob kar dekha karishma noor ka Chaand do tukday hua paa kar ishaara noor ka
Kya kami hai noor ki aur kya hai toora noor ka Bat raha hai har taraf toray pe tora noor ka
Faiz Ahmed se mila Mahmood warisah noor ka Shukr hai bakhsha humein to ne gharana noor ka