Kitni gustakh hai nigah-e-khayal Dhoondne ja rahi hai un ki misaal
Dekhiye meri aajz-e-taba ka haal Un ke abru ko keh raha hoon halal
Main aur andaza-e-maqam-e-Huzoor ﷺ Main na sahib-e-nazar na sahib-e-haal
Jo bhi zarra ura sitara bana Allah Allah gard-e-rah ka jalal
Unki rehmat ko kyon kare naraz Koi phela ke apna dast-e-sawaal
Hum ikathay rahay jahan bhi rahay Main jahan hoon wahin hai un ka khayal
Lazzat-e-aarzoo bhi kya sheh hai Hijr mein bhi raha khayal-e-wisaal
Azam us dar ko chomne ki hawas Apni surat pe ik nigah to daal__!!!