Khushi sab hi manate hain mere Sarkar aate hain Deewane jhoom jaate hain mere Sarkar aate hain
Khushi hai Aamna ke ghar woh aaye noor ke paikar Jo paida ho ke sajde mein apne sar ko jhukate hain
Dahan bhi noor-noor hai badan bhi noor-noor hai Nazar bhi noor-noor hai woh noor-e-Haq kehlate hain
Jo dekha husn-e-Yousuf ko toh apni ungliyan kaatin Jo Aaqa dekh lein tum ko woh apni sar katate hain
Farishton ki yeh sunnat hai ke Aaqa se mohabbat mein Minar aur makanon par jo hum jhanda lehrate hain
Zara jhandon ko lehrao zara hathon ko lehrao Khuda ki ab raza paao Yehi woh kaam hai jis se musalman jannat paate hain
Mehd mein chaand ko dekha toh noori noor se khela Jahan ungli uthate hain wahin par chaand ko paate hain
Woh jhoola noor ka jhoola sarapa noor ka jhoola Jinhein noori jhulate hain jinhein noori sulate hain
Wiladat ki ghari aayi bahaar ab jhoom kar chhayi Woh dekho aa gaye Aaqa deewane dhoom machate hain