Khula hai sabhi ke liye baab-e-rehmat Wahan koi rutbay mein adna na aali
Muraadon se daaman nahin koi khaali Qataarein lagaye kharay hain sawaali
Main pehlay pehal jab Madinay gaya tha To thi dil ki haalat tarap jaanay waali
Woh darbaar sach much meray saamnay tha Abhi tak tasawwur tha jis ka khayali
Jo ik haath se dil ko thaamay huay tha To thi doosray haath Roda ki jaali
Dua ke liye haath uthtay to kaisay Na yeh haath khaali na woh haath khaali
Dhani apni qismat ka hai to wohi hai Diyar-e-Nabi ﷺ jis ne aankhon se dekha
Muqaddar hai saccha muqaddar usi ka Nigah-e-karam jis pe Aaqa ﷺ ne daali
Main tauseef-e-Sarkar ﷺ kar to raha hoon Magar apni auqaat se ba-khabar hoon
Main bas ek adna sana-khwan hoon un ka Kahan main kahan naat-e-Iqbal-e-Aali