Khuda ne jab sajai bazm-e-kun sadqa Muhammad ﷺ ka To pehle naam loh-e-arsh par likha Muhammad ﷺ ka
Zameen-o-aasmaan kyonkar na hon un ke tasarruf mein Zuhoor is aalam-e-imkaan mein hai sara Muhammad ﷺ ka
Main karta hoon tasawwur mein tawaf-e-gumbad-e-khizra Nigah-e-ishq par ehraam hai jalwa Muhammad ﷺ ka
Ujaale chha gaye kufr-o-jahalat ke andheron par Shabistan-e-jahaan mein noor jab chamka Muhammad ﷺ ka
Nazar kis tarah aata dhoop ke mele mein logon ko Sahab-e-haq ke saaye mein raha saya Muhammad ﷺ ka
Rasoolon ko bhi un ﷺ ka ummati hone ki hasrat thi Yeh shan-e-Mustafai ﷺ hai, yeh hai rutba Muhammad ﷺ ka