Khuda ki wusatein kya hain Imam al-Anbiya jaane Nabi ki rafaatain kya hain faqat Rabb al-Ala jaane
Bajiz Aqa koi mushkil-kashai kar nahin sakta Inhi ko Hashr mein haramati mushkil-kashai jaane
Khuda ki raah mein jo kuch bhi tha wo sab lata daala Shahadat ki haqiqat ko shahid-e-Karbala jaane
Karam Sarkaar ka waise to hai saare zamane mein Ataa-e-Mustafa kya hai Madinah ka gida jaane
Shab-e-Ma'raaj jab Maula se milne ko gaye Aqa Khuda se kya huein baatein Nabi jaane Khuda jaane
Main beemar-e-Muhammad ﷺ hoon mujhe Taibah mein le jao Mere marz-e-mohabbat hai koi chaarah-saz kya jaane
Dum-e-Akhir mujhe Kalma Muhammad ﷺ ka parh dena Kahan le jaye phir mujh ko qaza jaane Khuda jaane
Nabi ke ishq se rooh ko munawwar karle Ae Abid keh kab udh jaaye teri rooh ka panchhi Khuda jaane