Khuda ki azmatein kya hain Muhammad Mustafa jaane Maqam-e-Mustafa kya hai Muhammad ka Khuda jaane
Sada karna hi mere bas mein tha maine sada kar di Woh kya denge main kya loonga Sakhi jaane gada jaane
Darata mujhko tu kyun hai azab-e-qabr se waiz Wahan Sarkar aayenge khata jaane ata jaane
Mareez-e-Mustafa hoon main tabeebo mujhko na chhedo Madine mujhko pahuncha do toh phir dar-ul-shifa jaane
Meri mitti Madine pak ki rah mein bicha dena Kahan le jaayegi isko Madine ki hawa jaane
Kaha Jibreel ne Sidra talak meri rasai hai Hain kitni manzilein aage Nabi jaane Khuda jaane
Hamein toh surkhuro hona hai Aqa ji ki chaukhat par Zamane ka hai kya Nasir bura jaane bhala jaane