Khuda ke baad Sahib-e-zamanon sab jahanon ka Qabala naam hai jis ke makanon lamakanon ka
Dharakta hai dil-e-bedaar-o-beena jis ke seene mein Jo khazin hai zameenon aasmanon ke khazanon ka
Zubaan har dil ki samjhe woh zubaan-daan-e-hama aalam Lab-e-izhaar saare benavaon, be-zabanon ka
Dareen che shak ke pesh-e-aahang hai woh rehti duniya tak Shoor-o-shauq-o-sarmasti ke saare karwanon ka
Banaya jis ne aasmanon ko afraad ek hi ghar ke Mitaya jis ne sab be-ja tafakhur khandanon ka
Kare khoon-e-jigar se aabyadi kisht-e-viran ki Mizaaj us ko maeeshat ne diya hai baghbanon ka
Diya tauheed ka paigham us ne but-paraston ko Kiya tabdeel rukh us ne dilon ke baadbanon ka
Kheenchein be-sakhta us ki taraf darmanda-o-raanda Hai zaat us ki hisaar-e-aafiyat be-khanmanon ka