Khuda karta hai nazil rahmaten un madah khwanon par Raha karte hain ausaf-e-Nabi ﷺ jin ki zabanon par
Karam hai Khusro-e-be-misal ka donon jahanon par Ke qamat hai zameen par aur saya aasmanon par
Kalam-e-Allah sun kar ho gaye ahl-e-Arab goonge Laga di mohar-e-Ummi ne faseehon ki zabanon par
Tumhari naat ke badle hazaron na'maten payein Hazaron shukr wajib hain tumhare naat khwanon par
Bata ae daman-e-koh-e-Uhud kya tujh mein ab bhi hain Woh bachay jo khushi se kheltay thay apni janon par
Utha kar saghar-e-may apni hathon se pilata hai Mere saqi ki woh rahmat hai Jami na-tawanon par