Khud ko shab-e-furqat mein mushkil se sambhala hai Manzar yeh huzoori ka ab dekhne wala hai
Honton pe duroodon ka mehka hua yeh mausam Hathon mein aqeedat ke jazbaat ki mala hai
Yeh shehr-e-Payambar hai le saans bhi aahista Rahmat ki ghataayein hain anwaar ka haala hai
Aankhein meri jhuk jhuk kar jaali se lipatti hain Kya wajd ka aalam hai kya kaif nirala hai
Auqaat meri kya hai kya naam-o-nasab mera Is dar ka main mangta hoon kya kam yeh hawala hai
Markar bhi pare rehna Sarkar ki chaukhat par Kya khoob ghulami ka mafhoom nikala hai
Muflis hai Riaz Aaqa har ek hawaley se Aagosh-e-masaib mein dukh dard ne pala hai