Khoob se khoob Madinah ka safar lagta hai Zara un raahon ka bhi rashk-e-Qamar lagta hai
Qaflay aate hain har waqt baharon ke yahan Sach kaho kaisa Muhammad ﷺ ka nagar lagta hai
Mahfil-e-naat-e-Nabi sajti hai jis bhi ghar mein Barakaton-rahmaton wala wahi ghar lagta hai
Yaad-e-Mahboob mein lakhon pe sajey hain jo bhi Chashm-e-ishq ka woh aansu gehar lagta hai
Chehra ash-Shams Nabi ka hai to zulfein wal-layl Paykar-e-noor mere Rab ka hunar lagta hai
Allah Allah woh darbaar-e-Nabi ki azmat Noor ka mela jahan shaam o sahar lagta hai
Pyar karta hai Niazi jo zamana mujh ko ye meri maan ki duaaon ka asar lagta hai