We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Khazan Rutoon Mein Khuley HainNot Verified

Qasim Yaqoob

Khazan rutton mein khile hain khajoor ke patte Hamesha sabz rahe hain khajoor ke patte


Yahan se qafila-e-deen-e-haq guzarna hai Salaamiyon ko jhuke hain khajoor ke patte


Main chooke paaye Muhammad ﷺ ki khaak dhoondta hoon Ke gard-e-reh se bhare hain khajoor ke patte


Jala hoon dasht-e-gumaan ki jhalti dhoop mein jab Toh chhaon ban ke mile hain khajoor ke patte



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


Rahe hain Shi'b-e-Abi Talib aap ke saathi Chataiyon mein saje hain khajoor ke patte


Phir un ke phal mein kabhi guthliyan nahi aayin Huzoor ﷺ ne jo chue hain khajoor ke patte

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah