Khamoshiyon mein saleeqay, sada ke rakhay hain In aansuon mein qareenay dua ke rakhay hain
Falak ki aankh bhi Taiba ko rashk se dekhay Wahan kisi ne sitaray bicha ke rakhay hain
Woh un ke pyaar ki shabnam se pa rahay hain namoo Jo phool shakh-e-dua par khila ke rakhay hain
Nisar hona hai un ko sunehri jaali par Yeh ashk Aap ﷺ ki khatir bacha ke rakhay hain
Hamesha noor ki barish meray Madinay mein Yahan charagh jo Ghar-e-Hira ke rakhay hain
Amal ka shauq ata ho ke har simt mein Payaam aaj bhi Sall-e-Ala ke rakhay hain
Meray Huzoor ﷺ ki masjid ka sehan, gumbad-e-paak Nazar mein kaisay manazir saja ke rakhay hain