Khak sooraj se andheron izala hoga Aap aaye to mere ghar mein ujala hoga
Hashr mein un ka har ek chahne wala hoga Mere Sarkar ka aalam hi nirala hoga
Ishq-e-Sarkar ki ek shama jalalo dil mein Baad marne ke lahad mein bhi ujala hoga
Jab bhi mango to waseele se unhi ke mango Is waseele se karam aur do bala hoga
Hashr mein hoga woh Sarkar ke jhande ke tale Meri Sarkar ka jo chahne wala hoga
Hashr mein us ko bhi seene se lagayenge Huzoor Jis gunahgar ko har ek ne tala hoga
Sila-e-naat-e-Nabi paunga jis din Khalidؔ Woh karam dekhna tum dekhne wala hoga