Khak mujh mein kamaal rakha hai Mustafa ne sambhaal rakha hai
Mere aybon pe daal kar pardah Mujh ko achhon mein daal rakha hai
Jo faqiran-e-Shah-e-Batha hain Un ki gudri mein laal rakha hai
Mustafa ki shabih Hasan-o-Husain Naam parday mein Aal rakha hai
Yeh karam hai Huzoor ka Rabb ne Har museebat ko taal rakha hai
Un ki rehmat nahin faqat hum par Ghair ka bhi khayal rakha hai
Tera Aijaz kab ka mar jaata Tere tukron ne paal rakha hai