Kehne laga bhanwar ke tujhe raasta diya Main ne use Huzoor ka jab waasta diya
Shab bhi utaar baithi sar-e-maatami libaas Main ne use jo naat ka roshan diya diya
Kehte hain unki naat hi sab apne rang mein Mahtaab, aaftaab, gulistaa, saba diya
Tayyaba bula ke mujh se gunaah-gaar shakhs ko Aaqa ﷺ ne apna Gumbad-e-Khizra dikha diya
Sunte hue woh naat mujhe khuld le gaye Mahshar mein naat kehne ka aisa sila diya
Is baat par lahad mein Shah-e-Deen bhi khush hue Hum ne unhein Ali ka qaseeda suna diya
Yun mast hain ke apni bhi hum ko khabar nahin Ek ghoont apni deed ka aisa pila diya
Ek shab sajayi mahfil-e-sad aah-o-ashk-o-dard Phir dil ne naat-e-Shah ka mujhe mashwara diya
Pehle to mujh ko shauq-e-huzoori ata kiya Phir fikr-e-naat-goi ka ek daaira diya
Pur-noor kar rahe hain bahar-e-charaagh aap Kehne laga Hussain se bujhta hua diya
Parh kar durood-e-paak diya main ne gul ko aab Aur us ne naghaton ka mujhe silsila diya
Aasi ho tum agar to shifa’at hai mere paas Yeh keh ke mere Shah ne mujhe hausla diya
Aaqa mere Kareem mere Qasim-e-Ata Hasni to kha raha hai faqat aap ka diya