Karo gham se azaad Ya Mustafa ﷺ Tumhein se hai faryaad Ya Mustafa ﷺ
Na paamaal mujh ko zamana kare Na mitti ho barbaad Ya Mustafa ﷺ
Na choote kabhi mujh se raah-e-sawab Na ho zulm-o-bedaad Ya Mustafa ﷺ
Ata mujh ko Allah himmat kare Baja laaun irshaad Ya Mustafa ﷺ
Rahuun hashr mein Aap ﷺ ki zaat se Talabgaar-e-imdaad Ya Mustafa ﷺ
Inayat ki ho jaaye is par nazar Rahe Daagh-e-Dil shaad Ya Mustafa ﷺ